Ye qarz toh mera hai chukayega koi aur
dukh mujh ko hai aur neer bahayega koi aur .!
Kya phir yunhi di jaayegi ujrat pe gawaahi
kya teri saza ab ke bhi payega koi aur .!
Anjaam ko pahunchunga main anjaam se pehle
khud meri kahani bhi sunayega koi aur .!
Tab hogi khabar kitni hai raftaar-e tagayyur
jab shaam dhale laut ke aayega koi aur .!
Ummeed-e sehar bhi toh viraasat mein hai shamil
shayad ki diya ab ke jalayega koi aur .!
Kab baar-e tabassum mere honthon se uthega
ye bojh bhi lagta hai uthayega koi aur .!
Ias baar hoon dushman ki rasai se bahut door
is baar magar zakhm lagayega koi aur .!
Shaamil pas-e parda bhi hain is khel mein kuchh log
bolega koi honth hilayega koi aur .!!