tumhari yaadon ke saath tanha safar kiya hai .!
Suna hai us rutt ko dekh kar tum bhi ro pade the
suna hai baarish ne pattharon par asar kiya hai .!
Saleeb ka bhaar bhi uthaao tamaam jeevan
ye lab-kushaai ka jurm tum ne agar kiya hai .!
Tumhen khabar thi haqeeqaten talkh hain jabhi toh
tumhari aankhon ne khwaab ko motabar kiya hai .!
Ghutan badhi hai toh phir usi ko sadaayen di hain
ki jis hawa ne har ek shajar be-samar kiya hai .!
Hai tere andar basi hui ek aur duniya
magar kabhi tune itna lamba safar kiya hai .!
Mere hi dam se toh raunqen tere shehar mein thi
mere hi qadamon ne dasht ko rah-guzar kiya hai .!
Tujhe khabar kya mere labon ki khamoshiyon ne
tere fasaane ko kis qadar mukhtasar kiya hai .!
Bahut si aankhon mein teergi ghar bana chuki hai
bahut si aankhon ne intezaar-e sehar kiya hai .!!