Kitne hi ped khauf-e khizaan se ujad gaye – Aanis Moin

Kitne hi ped khauf-e khizaan se ujad gaye
kuchh barg-e sabz waqt se pehle hi jhad gaye .!

Kuchh aandhiyan bhi apni muawin safar mein theen
thak kar padaav daala toh kheme ukhad gaye .!

Ab ke meri shikast mein un ka bhi haath hai
woh teer jo kamaan ke panje mein gad gaye .!

Suljhi thi gutthiyaan meri daanisht mein magar
haasil ye hai ki zakhamon ke taanke ukhad gaye .!

Nirvaan kya bas ab toh amaan ki talaash hai
tahzeeb failne lagi jungle sukar gaye .!

Is band ghar mein kaise kahun kya tilism hai
khole the jitne qufl woh honthon pe pad gaye .!

Be’sultanat hui hain kayi oonchi gardanen
baahar saroon ke dast-e tasallut se dhar gaye .!!

AANIS MOIN

Leave a Comment

18 − 15 =