Khushboo ki tarah aaya woh tez hawaaon mein – Bashir Badr

 

khushboo ki tarah aaya woh tez hawaaon mein
manga tha jise hum ne din raat duaaon mein .!

Tum chhat pe nahin aaye main ghar se nahin nikla
ye chaand bahut bhatka saawan ki ghataaon mein .!

Is shehar mein ek ladki bilkul hai ghazal jaisi
bijli si ghataaon mein khushboo si adaaon mein .!

Mausam ka ishara hai khush rahne do bacchon ko
maasoom mohabbat hai phoolon ki khataaon mein .!

Hum chaand sitaaron ki raahon ke musaafir hain
hum raat chamakte hain tareek khalaaon mein .!

Bhagwaan hi bhejenge chaawal se bhari thaali
mazloom parindon ki maasoom sabhaaon mein .!

Daada bade bhole thay sab se yehi kahte thay
kuchh zahar bhi hota hai angrezi dawaaon mein .!!

– Bashir Badr

Leave a Comment

18 − one =