Jeevan ko dukh dukh ko aag aur aag ko paani kahte – Aanis Moin

Jeevan ko dukh dukh ko aag aur aag ko paani kahte
bacche lekin soye hue the kis se kahaani kahte .!

Sach kehne ka hausla tum ne chheen liya hai warna
shehar mein phaili veeraani ko sab veeraani kahte .!

Waqt guzarta jaata aur ye zakhm hare rahte toh
badi hifaazat se rakhi hai teri nishaani kahte .!

Woh toh shayad donon ka dukh ek jaisa tha warna
hum bhi patthar maarte tujh ko aur deewani kahte .!

Tabdeeli sachaai hai is ko maante lekin kaise
aaine ko dekh ke ek tasweer puraani kahte .!

Tera lehza apnaaya ab dil mein hasrat si hai
apni koi baat kabhi toh apni zabaani kahte .!

Chup rah kar izhaar kiya hai keh sakte toh ‘aanis’
ek alahida tarz-e sukhan ka tujh ko baani kahte .!!

Leave a Comment

1 × 3 =