Guzarta saal hai aur saal ka ye aakhri din hai is a famous Urdu Nazam (Poem) written by a famous poet, Abrar Nadeem. Guzarta saal hai aur saal ka ye aakhri din hai comes under the New Year, December, Social category of Urdu Nazam (Poem). You can read Guzarta saal hai aur saal ka ye aakhri din hai on this page of Gulzariyat in english and hindi font.
Guzarta saal hai
aur saal ka ye aakhri din hai
abhi kuchh dhoop hai lekin
zara si der ko tayy hai ki aakhir shaam honi hai
haqeeqat ya kahaani jo bhi hai anjaam honi hai
agar tayy hai yehi hona
toh phir kis baat ka khadshaa
toh phir kis baat ka rona
chalo mil baith kar apne khasaare baant lete hain
sabhi rang aur jugnu aur sitaare baant lete hain .!!
Guzarta saal hai aur saal ka ye aakhri din hai
abhi kuchh dhoop hai lekin
zara si der ko tayy hai ki aakhir shaam honi hai
haqeeqat ya kahaani jo bhi hai anjaam honi hai
agar tayy hai yehi hona
toh kyon na shaam se pehle
kisi anjaam se pehle
bhula kar har pareshaani
jhatak kar har takalluf ko
jo kuchh ghadiyaan mayassar hain
inhin mein zindagi kar lein
kisi ehsaas ki shamaa jala kar in andheron mein
koi dum roshni kar lein
chalo hum dosti kar lein .!!
Guzarta saal hai..
गुज़रता साल है और साल का ये आखिरी दिन है
गुज़रता साल है
और साल का ये आखिरी दिन है
अभी कुछ धूप है लेकिन
ज़रा सी देर को तय है कि आखिर शाम होनी है
हकीकत या कहानी जो भी है अंजाम होनी है
अगर तय है यही होना
तो फिर किस बात का ख़दशा
तो फिर किस बात का रोना
चलो मिल बैठ कर अपने ख़सारे बाँट लेते हैं
सभी रंग और जुगनू और सितारे बाँट लेते हैं।।
गुज़रता साल है और साल का ये आखिरी दिन है …
अभी कुछ धूप है लेकिन
ज़रा सी देर को तय है कि आखिर शाम होनी है
हकीकत या कहानी जो भी है अंजाम होनी है
अगर तय है यही होना
तो क्यों ना शाम से पहले
किसी अंजाम से पहले
भुला कर हर परेशानी
झटक कर हर तकल्लुफ को
जो कुछ घड़ियाँ मयस्सर हैं
इन्हीं में ज़िन्दगी कर लें
किसी एहसास की शमा जला कर इन अंधेरों में
कोई दम रौशनी कर लें
चलो हम दोस्ती कर लें
गुजरता साल है और ………..