Baahar bhi ab andar jaisa sannaata hai – Aanis Moin

Baahar bhi ab andar jaisa sannaata hai
dariya ke us paar bhi gahra sannaata hai .!

Shor thame toh shayad sadiyaan beet chuki hain
ab tak lekin sehama sehama sannaata hai .!

Kis se bolun ye toh ek sehra hai jahan par
main hoon ya phir goonga bahra sannaata hai .!

Jaise ek toofaan se pehle ki khaamoshi
aaj meri basti mein aisa sannaata hai .!

Nayi sehar ki chaap na jaane kab ubharegi
chaaron jaanib raat ka gahra sannaata hai .!

Soch rahe ho socho lekin bol na padna
dekh rahe ho shehar mein kitna sannaata hai .!

Mahv-e khwaab hain saari dekhne waali aankhen
jaagne waala bas ek andha sannaata hai .!

Darna hai toh anjaani aawaaz se darna
ye toh ‘aanis’ dekha-bhala sannaata hai .!!

AANIS MOIN

Leave a Comment

one × four =